Thursday, September 9, 2010

ek ashru ki boond


Ojhal hoti un aankho se..
Nikal pada main asehsa
Na gathri bandhe na saman liye
Main nikal pada kuch sehma sa
Mano kisi ka isharo ho
Kisi ne dhakka de mara ho.

Nikla main to zamee(n) garam thi
Bukhar na tha
Par tapish agam thi
Jo pag dhara to beh chala main
Aankho ke kone se gaalon ko chukar
Tumhare komal shareer se hokar.

Ek bar laga main reh jaunga
Tumhi mein kahin kho jaunga
Par zameen ne bula liya
Chhod chala main tumko
Tumhare tapte badan ko
Aura aa gira is dhool mein
Jo mujhe registaan si lagti hai
Chah aisi jagi jaisi
pyaase pathik ko pani ki lagti hai

Par main hi toh pani hu
Bhaav hu, barkha hu
Main hi to jeevan hu
Barf hu, badal hu..
Main hi to samudra
Main hi to khushi mein aankh mein basta hu
Main hi to dukhon mein sadev sajag hu

Main chal pada mujhe rok mat
Mere aane ko kos mat
Main aaya tha aur chala gaya
Main fir ek roz aaunga
Main ashruon ki boond hu
In aankhon se door kaha ja paunga
Jab chahogi, jab sochogi
Kisi yaad mein chupa paunga