I am just so low right now... that i didn't even wanna write but speak..js let my own voice soothe me.. i dont know.. ye station toh chhod aayi thi.. yahan toh bas intezaar kia tha.. yahan se to chal padi thi aur kabhi nahi utarna tha yahan. Par fir aaj raat ke teen baje sunai diya ki ye toh wahi jagah hai. Khidki se dekhti hu toh .. wahi nazara hai yahan.. kankaal se ped bhojil zameen par ruaanse khadein hai.. chai ki khushboo toh hai par naam-o-nishaan nazar nahi aata. Yahan is platform par door door tak koi nahi bas sannata hua karta tha un dino.. aaj bhi wohi hai aaspaas. Thand nahi hai, par thand ki chadar lapete raat khadi hai ek kone mein. Shayad dekhne aayi hai, ki main rukti hu ki nahi. Thithur ke rail ke darwaze tak toh pahunch gayi hu par utarne ki himmat nahi hai mujhmein. Pichli baar ka tajurba bhulaye kahan bhulta hai. Is station par utarti hu toh gaadi jhat chali jati hai..rengti hui si dikhayi deti hai jaise chhod ke jane ka soch ke aayi ho. Badi muddat ke baad se pakdi thi pichli dafa.. is baar ik paun bhi neeche nahi rakhungi. Aisa bhi toh nahi hai ki ek baar hi chooti thi gaadi meri.