Tumhein chhuna hai
Jaise tum ho koi cheez meri
Jo bhule se daraaz ke
anjaan kisi kone mein pari mili
Suraj ki roshni ki tarah
Darwaaze se aate dekhna hai tumhein
Khirki ki salankhon se taakna hai tumhein
Jab sham ki sair ko jao tum
Har raat tumhein bayaan karni hai
Har subah neend se jagaana hai tumhein
Hairaan hona hai ki tum ho sath mere!
Pareshan hona hai kabhi tumhare hone hi se!
Ek saans mein pi jana hai tumhein
Har ghoont mein milaana bhi hai.
Tumhein ittalah tak nahi karni
Par sab kuch bataana bhi hai
Tumhein chhuna hai
Jaise tum ho koi cheez meri
ajaan kisi bayabaan se kone mein
jo mujhe pari mili!
Kuch kalam se ikhtiyar karna hai
thora lafzo pe bithana hai tumhein
Gar khamoshi koi zabaan hoti
Shayad yun hi kehti main usey
Jaise tum ho koi cheez meri
Jo bhule se daraaz ke
anjaan kisi kone mein pari mili
Suraj ki roshni ki tarah
Darwaaze se aate dekhna hai tumhein
Khirki ki salankhon se taakna hai tumhein
Jab sham ki sair ko jao tum
Har raat tumhein bayaan karni hai
Har subah neend se jagaana hai tumhein
Hairaan hona hai ki tum ho sath mere!
Pareshan hona hai kabhi tumhare hone hi se!
Ek saans mein pi jana hai tumhein
Har ghoont mein milaana bhi hai.
Tumhein ittalah tak nahi karni
Par sab kuch bataana bhi hai
Tumhein chhuna hai
Jaise tum ho koi cheez meri
ajaan kisi bayabaan se kone mein
jo mujhe pari mili!
Kuch kalam se ikhtiyar karna hai
thora lafzo pe bithana hai tumhein
Gar khamoshi koi zabaan hoti
Shayad yun hi kehti main usey