Kabhi Suni..
Kabhi suni apni pasandeeda keetab ke panno ki farfarahat? Aur kya chaha kabhi ki usmein chhalang dein maar? Kya hawa se baatein karti patang ki pehli udaan ki awaaz se baat ki kabhi?! Patton ki kashmakash se bhari fusfusahat ko sun gudgudi hui kabhi?!
Kabhi jab joota fata toh suna tha kya? Wo 'charrrrr' si awaz jise liye mochi ko dhundne nikle they, jab langraati chaal ko dekh sab khoob hase they. Aur akele mein khud ko dekh itna hasse they ki pait dukha tha!
Rail ki khidki se doobte sooraj ko dekhte huye.. Dhyan se suni kabhi chakkon ki awaaz aur fir door se aati engine ki hool..
Par kya suni tootte huye dil ko marodti sikodti awaaz .. bojhil aankhon se bund girne ki bheeni si awaaz?
Suni hai wo awaz jo patto ki sarsarahat se nikalti hai, sadko pe rengti gaadion ke pahiyon se ho kar, pani ik bund ban aankho mein bas jati hai?
Suni hai wo awaz jo bachon ko sunai deti hai? Jab maa bas hath bhar fer de sar par.. Chup kara dene wali woh awaaz.. Neend mein aaram ko pirone wali ik awaz
Kabhi gaur kiya kaise bin bole, ik panchhi kitna kuch keh jata hai, uchaiyo se baatein kar, zameen ko azaadi ki jhalak dikhata hai.. Uski udaan jab milti hai kshitij se, lagta nahi aasmaan ne use apnaya hai?
Kabhi baadal ko garajta sun, seheme se bache ki pukar suni hai? Aur kya suna hai kabhi barish ke gehen sannatte ko? Kya raat ki maddham lau ko sakpakate suna hai? Kabhi mombatti ki roshni mein khud ko rote suna hai?
Kabhi suni hai aawaz kisi nanhe bharose ke tootne ki? Wo aawaz jo kaan se nahi suni jati. Jo karkash toh nahi par asehniye hai, jo bebas hai daineeye hai..
'Usne' jab haath thama, tab apne dil ko kalabaziyaan karte suna tha maine, par uski dhadkan ko kano se laga ke dekha nahi kabhi.. sochti hu ab jab ye likhti hu, ki jaane kaisi hoti hogi.
Kuch awaazein hum sun kar nahi sunte..Kuch awaazon se door bhaagne ke liye kaano mein rui nahi daali jati.
Par apni kitaabon ke panno ki farfarahat sada ki tarah yaad hai mujhe.. :)