Monday, May 4, 2009

By Anonymous

This one is by anonymous.. would love to know who is behind it..I tried to find out but couldn't. I really connect with this one.

Mat kaho aakash mein kohra ghana hai
ye kisi ki vyaktigat aalochna hai

Surya humne bhi nahi dekha subeh se
kya karoge surya ka kya dekhna hai

Is sadak par is qadar keechad bichi hai
har kisi ka paon ghutno tak 
sana hai

Paksh aur vipaksh sansad mein miukhar hain
baat itni hai ki koi pul bana hai

Rakt varshon se naso mein khaultaa hai
aap kehte hain kshnik uttejna hai

Ho gayi har ghaat par puri vyavstha
shauk se doobe jise bhi doobna hai

Doston! ab manch par suvidha nahi hai
aaj kal nepathya mein sambhawna hai

Poorva Chalne Ke Batohi..


Another one by Harivansh Rai Bachchan.. reading him one realises what classics are made of. The stanzas in bold..these i remember from class eighth..and they struck a chord somewhere.. and it was only sometime back that i was able to retrieve the whole of the poem with the help of these words.

Poorva chalne ke batohi, 
baat ki pehchaan kar le 


Pustako mein hai nahi 
Chhapi gayi iski kahani. 
Haal iska gynat hota Hai 
na auro ki zubaani. 


Anginat raahi gaye 
Is raah se, unkaa pataa kyaa? 
Par gaye kucch log is par 
Chhod pairo ki nishaani.


Yeh nishaani mook hokar 
Bhi bahut kuch bolti hai. 
Khol iskaa arth panthi 
Path ka anumaan kar le.


Poorva chalne ke batohi, 
baat ki pehchaan kar le.


Yeh buraa hai yaa ki accha 
Vyarth din is par bitaana, 
Ab asambhav chhod yeh path 
Doosre par pag badhaana. 


Tu ise accha samajh, 
Yatra saral isse banegi. 
Soch mat keval tujhe hi 
Yeh padaa man mei bitana


Har safal panthi yahi 
Vishvaas le is par badhaa hai 
Tu isi par aaj apne 
Chit ka avdhaan kar le.


Poorva chalne ke batohi, 
baat ki pehchaan kar le.


Hai anishchit kis jagah par 
Sarit, giri, gahvar milenge
Hai anishchit kis jagah par
Baag ban sundar milenge


Kis jagah yatra khatam ho
Jayegi yeh bhi anishchit 
Hai anishchit kab suman kab 
Kantako ke shar milenge, 


Kaun sahasaa choot jayenge, 
Milienge kaun sahasaa. 
Aa pade kuch bhi, rookegaa 
Tu na, aisi aan kar le




Swapna aata hai sukhon ka 
driga korkon mein deepti aati 
pankh kag jaatey pagon ko 
lalakti unmukt chaati


raste ka ek kaanta 
paon ka dil cheer deta
rakt ki do boond girti 
ek duniya doob jati 


aankh mein ho swapna lekin 
paaon prithvi par tikey hon 
kantakon ki is anokhi 
seekh ka sammaan karle 


Poorva chalne ke batohi, 
baat ki pehchaan karle

Jo Beet Gayi So Baat Gayi

Sharing some of my favourite hindi poems in a series. This one is by Harivansh Rai Bachchan.. you must have read it before



Jo Beet Gayi So Baat Gayi


Jeevan mein ek sitara tha
Maana woh behad pyara tha
Woh doob gaya to doob gaya
Ambar ke aanan ko dekho
Kitne iske tare toote
Kitne iske pyare chhoote
Jo chhoot gaye phir kahan mile
Par bolo toote taron par
Kab ambar shok manata hai

Jo beet gayi so baat gayi ....

Jeewan mein tha who ek kusum
The us pe nitya nyochawar tum
Wo sookh gaya to sookh gaya
Madhuwan ki chaati ko dekho
Sookhi kitni iski kaliyan
Jo murjhai phir kahan khili
Par bolo sookhe phoolon pe
Kab madhuvan shok manata hai ?

Jo beet gayi so baat gayi

Jeewan mein madhu ka pyala tha
Tumne tan man de daala tha
Woh toot gaya to toot gaya
Madiralay ka aangan dekho
Kitne pyaale hil jaate hain
Gir mitti mein mil jate hain
Jo girte hain kab uthte hain
Par bolo toote pyalon mein 

kab madiralay pachtata hai ?

Jo beet gayi so baat gayi

Mridu mitti ke hain bane huye

Madhu ghat phoota hi kartein hain
Laghu jeewan leke aaye hain
Pyale toota hi karte hain
Phir bhi madiralay ke andar
Madhu ke ghat madhu ke pyale hain
Jo madakta ke mare hain
Wo madhu loota hi karte hain
Wo kachcha peene wala hai
Jiski mamta ghat pyalon par
Jo sachche madhu se jala hua
Kab rota hai chillata hai?