Mat kaho aakash mein kohra
ye kisi ki vyaktigat aalochna hai
Surya humne bhi nahi dekha subeh se
kya karoge surya ka kya dekhna hai
Is sadak par is qadar keechad bichi hai
har kisi ka paon ghutno tak
Paksh aur vipaksh sansad mein miukhar hain
baat itni hai ki koi pul bana hai
Rakt varshon se naso mein khaultaa hai
aap kehte hain kshnik uttejna hai
Ho gayi har ghaat par puri vyavstha
shauk se doobe jise bhi doobna hai
Doston! ab manch par suvidha nahi hai
aaj kal nepathya mein sambhawna hai
beautiful.. heard this word after a long time NEPATHYA...how do i contact you?
ReplyDeleteThanks but this poetry is not by me. I agree the word is remarkable..it caught my eye too.
ReplyDeleteYou can contact me right here. :)
This poem is by Dushyant Kumar... called "Mat Kaho Aakash Mein Kohra Ghana Hai"
ReplyDeletethanks!
ReplyDelete