Kahan aa ke rukne they rastay kahan morh tha usay bhool ja
wo jo mil gaya ussay yaad rakh jo nahi mila usay bhool jaWo tere naseeb ki barishein kisi aur chat par baras gayeen
dil-e-bekhabar meri baat sun usay bhool ja usay bhool ja
Main to gum tha tere hi dhyaan mein teri aas tere gumaan mein
sabah keh gayi mere kaan mein mere saath aa usay bhool ja
Kisi aankh mein nahi ashq-e gham tere baad kuch nahi hai kam
tujhe zindagi nay bhula diya tu bhee muskura usay bhool ja
Kyun attaa hua hai gubaar mein, gham-e-zindagi kay fishaar mein
wo jo dard tha tere bakht mein, so wo ho gaya usay bhool ja
Na woh aankh hi teri aankh thi, na wo kha'ab hi tera kha'ab tha
dil-e-muntazar to fir kis liye tera jaagna, usay bhool ja
Ye jo raat din ka hai khel isey dekh, ispe yakeen na kar,
nahi aks koi bhi mustaqqil sar-e-aaina usey bhool ja
Jo bisaat-e-jaan hi ulat gaya, wo jo rastay se palat gaya
usay roknay se hasool kya, usay mat bula, usay bhool ja
Toh ye kis liye shab-e-hizjr ke usay har sitaare mein dekhna
woh falak ki jispe mile they hum, koi aur tha usay bhool ja
Tujhe chaand ban ke mila tha jo tere sahilon pe khila tha jo
woh tha ek dariya wisaal ka so utar gaya usay bhool ja
link.. do listen.
http://www.youtube.com/watch?v=eNoqKOtiykI&feature=related