Tried my hand at Hindi poetry..sm days back..aise hi:
Abhi aaj hai
kal gaaj hai
yeh waqt ka
samvaad hai
Kal maun hai
kal shunya hai
ab aaj hai
ab satya hai
Ye waqt ki
hi baat hai
abhi aaj hai
kal gaaj hai
----------------
Uttejna
uttar nahi
samvedna se
jaan-na
Sanyam parakh
mushkil bada
paida karein
sneh bhawna
Yeh krodh ik
vinaash hai
ab aaj hai
kal gaaj hai
------------------
beeta samay
bhule chale
kuch seekh kar
fir pag dhare
Aage lagan
mann mein magan
ye roz ki toh
baat hai
abhi aaj hai
kal gaaj hai
yeh waqt ka
samvaad hai
---------------------
kuch panktiyan
ReplyDeletekuch raaz hain
kuch dil ke
ehsaas hain
samvedna
sashakt si
ik soch
ik agaaz hai
kuch panktiyan
kuch harkatein
kuch chahatein
kuch pyaas hai
jo panktiyan
tumne likhi
ye badi
bindaas hai
keh rahi
dil ki kahi
ek soch
ek awaaz hai
jo panktiyan
tumne likhi
woh badi
jhakkas hai :D
oh my god!! chor!! this is so amazing.. overshadows my poem completely..! grrr
ReplyDelete