Mat kaho aakash aaj krosh mein hai
Yu to surya barso se aakrosh mein hai
Krodh aakrosh sab apna diya hai
Isiliye to aaj dhar murjha gaya hai
Ek taraf aakash makhmali sunehra
Swagat mein ho jaise koi sundar savera
Par ah, ye kya dharti to jaisi ro padi hai
Nadi naraazgi mein rukh mod chali hai
Ped-paudhe adhmare se jee rahe hain
Garmi aisi ki zameen zhulsa rahi hai
Baraf ke shikhar bhi ab rone lagein hain
Aansuo ki baadh bhu bhigone lagein hain
Bin mausam ki varsha mulsadhaar ho rahi hai
Jalvayu Anishchit akasmik ho padi hai
Kahin sukha to kahin baadh ka karyakram bana hai
In ghatnao se ab to roz hi ka saamna hai
-----------------------------------------------------------
Hum hain vyast tark aur vitark sochne mein
Unnati ki bhook mein ek kashmakash mein
Bahas ye hai ki kaun kitna dhan samete
Dharti ki marne se pehle khaal nochein
Nadiyo ko kaise sukhne se pehle loot dalein
Pashu pakshiyo ke gharon ko cheer dein
Doshi ko kya dosh dein wo to atal hai
Manushya jaati hai iska dimag jatal hai
Sochlega koi raasta koi aur bahana, parantu
Hasyaprad hai doobte ka moh mein geet gana
Pakriti ki vidambana ka kuch aisa asar hai
Kavi bhi visheshyagya ban ke bolta hai
"Aisa karo ki surya ko pakdo ye usi ka kiya hai
Uske krodh se bahot vinaash hua hai!"
Kya kare kavi, woh alankar hi janta hai
Copenhagen nahi manviyakaran se kaam nikalta hai!
No comments:
Post a Comment