Saturday, September 17, 2011

untitled

Na manzil hi hai khayal mein
Na rasta kahin ja raha,
Na rooh ko koi intezaar
na dil yahan lalsa raha

baithi hoon ik khayal mein
na idhar hi na udhar hi hoon,
ik boond sa mann hai abhi
girte zara qatra raha

Hai jhoolta sa dikh raha
gira ki bas abhi gira,
risna nahi shayad ise
hai chahta ye barasna

maloom hai qillat magar
'kyun!' 'nahi!' 'kahan!' 'par'
kahe ja raha jiye ja raha
bhool kar khone ka darr

kuch aur der baithu toh
ghar bana lu na kaheen,
unhein chhorne ka shauk hai
mujhe rukne ki hai aadat!

1 comment:

  1. Kya baat hai!!:) Subhanallah!!

    Iske peechhe ki story kya hai.. Aajkal kuch batati nahi ho.. looking forward to your mail telling me about it.

    ReplyDelete