Faiz Ahmed Faiz‘s Kuttey (Dogs)
Yeh galiyon key aavaara bekaar kuttey
Ke bakhsha gaya jin ko zoq-e-gadaai
Zamaney ki phitkaar sarmaaya un ka
Jahaan bhar ki dhutkaar in ki kamaai
Na aaram shab ko, na rahat saveyrey
Ghalaazat mein ghar, naaliyon main baseyrey
Jo bigrein to ik doosray say lara do
Zara ek roti ka tukra dikha do
Yeh har ek ki thokerain khaney waley
Yeh faaqon say uktaa kay mar janey waley
Yeh mazloom makhlooq gar sar uthaey
To insaan sab sarkashi bhool jaey
Yeh chaahein to duniya ko apna bana lein
Yeh aaqaaon ki haddiyaan tak chaba lein
Koi in to ehsaas-e-zillat dila dey
Koi in ki soee hui dum hila dey
- Faiz
Yeh galiyon key aavaara bekaar kuttey
Ke bakhsha gaya jin ko zoq-e-gadaai
Zamaney ki phitkaar sarmaaya un ka
Jahaan bhar ki dhutkaar in ki kamaai
Na aaram shab ko, na rahat saveyrey
Ghalaazat mein ghar, naaliyon main baseyrey
Jo bigrein to ik doosray say lara do
Zara ek roti ka tukra dikha do
Yeh har ek ki thokerain khaney waley
Yeh faaqon say uktaa kay mar janey waley
Yeh mazloom makhlooq gar sar uthaey
To insaan sab sarkashi bhool jaey
Yeh chaahein to duniya ko apna bana lein
Yeh aaqaaon ki haddiyaan tak chaba lein
Koi in to ehsaas-e-zillat dila dey
Koi in ki soee hui dum hila dey
- Faiz
No comments:
Post a Comment