Saturday, October 25, 2014

Faraar

Apne Maazi Ke Tasawwur Se Hiraasaan Hoon Main
Apne Guzre Hue Ayyam Se Nafrat Hai Mujhe
Apni Bekaar Tamannaon Pe Sharmindaa Hoon Main
Apni Besud Ummidon Pe Nidaamat Hai Mujhe

Mere Maazi Ko Andhere Mein Dabaa Rahne Do
Mera Maazi Meri Zillat Ke Siwa Kuchh Bhi Nahin
Meri Ummidon Ka Haasil Meri Kaawish Ka Sila
Ek Benaam Aziyat Ke Siwa Kuchh Bhi Nahin

Kitni Bekaar Ummidon Ka Sahaaraa Lekar
Main Ne Aiwaan Sajaaye They Kisi Ki Khaatir
Kitni Be-Rabt Tamannaaon Ke Mabham Khaake
Apane Khwaabon Mein Basaaye The Kisi Ki Khaatir

Mujhse Ab Meri Mohabbat Ke Fasaane Na Poochho
Mujhko Kahne Do Ke Main Ne Unhen Chaahaa Hi Nahin
Aur Wo Mast Nigaahen Jo Mujhe Bhool Gayeen
Main Ne Un Mast Nigaahon Ko Saraahaa Hi Nahin

Mujhko Kahne Do Ki Main Aaj Bhi Ji Saktaa Hoon
Ishq Naakaam Sahi Zindagi Naakaam Nahin
Unko Apnaane Ki Khwaahish Unhen Paane Ki Talab
Shauq Bekaar Sahi Sai-Gham Anjaam Nahin

Wahi Gesoo Wahi Nazar Wahi Aarid Wahi Jism
Main Jo Chaahoon Ki Mujhe Aur Bhi Mil Sakte Hain
Wo Kanwal Jinko Kabhi Unke Liye Khilna Tha
Unki Nazron Se Bahut Door Bhi Khil Sakate Hain


- Sahir Ludhianvi

No comments:

Post a Comment